Wednesday, February 8, 2012

Zindagi ki Talaash Mein



Jab sasien tham si jati hai
Kyu yeh khamoshi satati hai?
Bhed se tej chalne ki chah mein
Yeh zindagi kyu rulati hai?

Sab se aage chalne ki daud mein
Apno ka saath chuth sa jata hai
Phir jeet ke bhi saali
Yeh tanhai kyu satati hai?

Apne mansube pure karne ki khatir
Apno ko hi andekha kardiya
Apne maksad pure karne ke bad
Sali yeh zindagi hi rulati hai

Shor ke saath jeene ki
Adat si ho gayi hai
Raat mein bhi jaagne ki
Yun zaroorat si ho gai hai

Akele baithke sitaro ko dekhna
Yun jagmagate sitaro mein
Apne betiwe kal ko khojna
Ab toh adaat si ho gayi hai

Kal ki baaton mein jeena
Akhir yeh bhi koi jeena hai
Ujde sapon ko sabdo ki sahi se
Likh kar jala dena hi nasihat hai

Zindagi ki murade puri karna
Yeh bhi ek ulfat hai
Haat aya yeh waqt gawa dena
Yeh bhi ek busdili hai

Apne hi haaton se apni kismat ka
Gala ghot dena
Yeh bhi koi fitrat hai?

Apne hi khayalo mein
ghum sa ho jana
Ankahi woh baato ko
Zuban pe lana

Zindagi se dur jani ki
Wajah khojna
Aur aansu ke boondh ko
Girne na dena

Yeh bhi koi zindagi hai?

3 comments:

Palak said...

very emotional poem... too good!!! got tears in eyes reading it :) :)

Anonymous said...

Its deep thought !!! Something frσм d heart !!! Its not just words ßŭt feelings bought out !!

Sarthak Dayama said...

Thanks S***ja